Seo kya hai in urdu roman - Blogging for Beginners learn Seo online free step by step

Seo kya hai in urdu roman

SEO kya hai in urdu roman - Seo ka full form search engine optimization hai Seo basically website ki organic traffic increase karney aur website ko rank karwaney ya search engines me top par laney k leyeh use hota hai, isme do tarah ki seo hoti hay white hat seo and black hai seo, onpage seo aur offpage seo iske 2 main parts hain.Isk elawah Seo Kya hai aur search engine optimization ki A to Z information roman urdu may janney k leyh yeh post app dehan se aur mukamal read karen qk agar app seo sekhna chahatey hain to is k leyh apko seo kya hai k barey may mukamal maloomat honi chaheyh tabhi app agay barh saktey hain.

 

Seo kya hai in urdu roman


 

SEO Kya Hai - search engine optimization in urdu roman

Seo search engine optimization me hum apni website ko google may top per rank karney aur search engines sey ziada se ziada traffic laney k liay apni posts ko optimize kartey hai, aap google ya kisi bhi search engine me koi keyword search kartey hain to apko aik second se bhi kum waqt me hazaron result show hotey hai lakin aap sirf un website ko visit kartey hay jo pahley page par apko milen gi iska matlab ziada traffic unhi ko milta hai jo websites search engines me pehley page me show hoti hain,

AGER ap apni website ya blog ki kisi bhi post ko search engines me No.1 per lana chahatay hay to apko is k liay optimize karna zarori hai iske begher app apney blog ko top par nahe lasaktay hay
 
Seo eik bahoot barri field hai ismay bahoot sey seo expert apni yeah clients ki websites ki seo karkey lakhoon rupay kama rahey hain agar aap bhi online paisa kamanay ka shouq yeah soch rahe hain to apko seo ki basic maloomt honi chayeh chahey aap kisi bhi tarikay sey paisa kamana chahtey hain.


Manlo aap ka koi online business hai ya Affiliate marketing ki website hai to tabhi app iss sey zyada paisey kama sakte hain jab aap website par organic traffic (search engine se anay wala traffic ) ziada ho aur organic traffic se apke sell ziada hoti hai

q k jo user google par jo product search karta hai to usse us product ki zarorat hoti hai aur usne wo product buy karna he hoti hai chahe wo apki ki site se karey yah kisi dorsray ki website se buy karey, so is kaliay apko apni website ki achey say seo karni hai takeh apki website ki seo ranking google search engine may achi ho.

How many Type Of SEO?

Seo ki 3 types hain
 
1) White Hat Seo
2) Black Hat seo
3) Gray Hat seo


1 White Hat Seo:   simply asaan lufzo may ager hum samjhay to woh kam jo google ki policy or rules k mutabik ho is ko hum WHITE HAT SEO kehtay hay is may google ka rules ko follow karte huwe kaam kia jata hai matlab website ko rank karwane ka  yeh aik organic and legal tarika hai isse apki website ko rank hone me thora waqt lugta hai but issay ap ki website aik bar rank kar jay to iski ranking kabhi down nahi hoti, agar aap apni website ko long time kaliay rankup karwana chahtey hain to me apko yahi suggest karonga.


2 Black hat seo: simply asaan lufzo may ager hum samjhay to woh kam jo google ki policy or rules k khelaf ho issay hum black hat seo kehtay hay isme website ko juldi rank karwaney k leyh aesi unnatural techniques ka istemal kia jata hai jin ko google ya koi bhi search engine allow nahi karta, issay apki website rank up to jaldi hojati hai lakin is technique sey kabhi bhi apki rank aik dum down ho sakti hai, isiliay me apko yeh kabhi suggest nahi karonga.


3 Gray hat Seo: simply asaan lufzo may ager hum samjhay to Black hat aur white hat ko mix kia jay to Gray hat seo bun jata hai mutlab ismey kuch techniques white hat or kuch black hat seo ki use ki jati hain. So aap kaliay sabse best white hat seo he hai.

Parts of Seo
 
Seo k ahoot say parts hai lakin inmey 2 main part hain jissey Offpage seo aur onpage seo kaha jata hai.

Onpage Seo kya Hai?


Bahoot asaan lazfzo may ager hum samajhnay ki koshish keray to woh kam jo hum apnay he web page may reh ker kertay hay isay on page seo kaha jata hay Onpage seo may  hum apni blog post likhtey time jo bhi apney article me likhte hain jaise keyword, title, permalink, meta description, meta tag, heading, photo alt etc. jab hum inhe google ka rules ka mutabiq optimize karte hain to issay on page seo kaha jata hai. Youn samaj lejyh k app jitna behter app ka on page seo hoja utna he behter apko off page may acha result dekhnay ko milay ga

agar aap apni blog post ko ache se optimize kar late hain to bhir app offpage seo na bhi karen to PHIR bhi apki post rank kare gi lakin agar aap sath me offpage seo karte hain to apki blog post aur bhi jaldi rank hojati hai.

Offpage Seo kya Hai?

WOH process jo app apni website k leyeh out side resouces ki madad say used kertay hay ussay off page seo kehtay hay offpage me link building, social book marking, sharing, commenting, guest post etc hain, basically inke zariay backlinks generate kiay jate hain matlab offpage seo me apne blog ya blog ka kisi bhi single article ka dofollow and noffollow backlinks generate karne hote hain jite ziada apke dofollow back links honge utna teezi se apka blog rank kare ga aur apki traffic buht ziada increase hogi.
  • Unlimited Do Follow Backlinks kaise Banaye
  • 15+ Best Free SEO Tools To Increase Your Blog Traffic
Summary: Aj MANAY is article me main apko search engine optimization k barey me thori bahoot basic maloomat de hai, seo par work karne kaliay abhi apko aur buht kuch sekhna hoja, yeh aik aysi field hai k jiismey barey se barey expert ko bhi sekhte rehna parhta hai, is may waqt k sath sath is may bahot se tabdilian ate rahti hain aur google ki new anay wali updates par bhi nazar rakhni parhti hai.

so hamare blog ka sath connect rahayeh seo par main mazeed pro article likhta rahon ga jo yaqinan aap k liay useful rahen gay.

aap is post ko social media par share zaror kare ta k dosray user bhi issay faida utha saken.  
 

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.